Friday, October 24, 2008

play of words..

akanksha, uss
ankush ki, jo mera
ansh ha, uss
andheke aishwarys ki, jo
aasman ke
anchal me chipe
aruna ki
annant chah mein
albela
alpviram ki khoj mein, mere
antar man mein
ankit ha.

akansha ek karuna bhare
astitva ki, jo kahin
achanak hi mere
apurn manas mein
abodh hai

akanksha,
akanksha ki nahi
akanksha se
alokit,
alok ki jisme
andhere ki
asha na ho

akanksha bas
asadhya ki,
aap mein se na nirmit
ashanti se pare
akanksha-akanksha ki...akanksha rahit!

No comments: